
Best Free Android Antivirus Apps: Smartphone hamare zindagi ka ek important hissa ban gya hai, ab log phone ka istemal sirf communication ke liye nahi karte hai balki ab apne sensative information ko store karne ke liye bhi phone ka use karte hai. Lekin jaisa ke hum aajkal dekh rahe hai ke data leak ke threats kitne zyada barh gaye hai, aur aise me kya hamare liye ye sahi hia ke hum apne sensitive information ko bina kisi protection ke rakhen.
To agar aap bhi apne sensitive informations ko bina kisi security ke apne phone me rakh rahe hai to ye aapke liye ye khatarnak ho sakta hai. To aise me aaj hum aapke liye le kar aaye hai Best free Android Antivirus ki list jise aap asani se Play store se Download kar sakte hai. Aapko bata den ke yaha pe diye gaye sabhi mobile antivirus ko AV-TEST Institute ne test aur approve kiya hai joki ek independent IT-Security institute hai. To aaeye dekhte best Anti-virus App ki list
Best Free Android Antivirus Apps
Avast Mobile Security 2018
Price: Free / $2.99 per month / $11.99 per year
Avast Mobile Security kisi bhi platform ke liye sab se popular antivirus App me se ek hai. Is Application ke 100 million se zyada downloads ho chuke hai aur isme aapko bahut saare features milenge. Is App me Aapke ek single tap pe antivirus engine dangerous or infected apps aur trojans ko scans kar ke aapko spyware and viruses se complete protection provide karta hai.
- Iske kuch important features me aapko classic antivirus scanning, applock, call blocker, anti-theft support, rooted Android devices ke liye firewall aur photo vault diya agya hai jiski madad se aap apne private photos ko Pin code se protect kar sakte hai.
- Is App me aapko VPN ki nayi facility dekhne ko milegi jo aapke online activity ko hide karne ke sath hi aapke location ko aapke hisab se change kar dega.
In sabhi features ke sath Avast Mobile Security Android ke liye best mobile antivirus ban gya hai.
Avira
Price: Free / $11.99 per year
Avira Antivirus ek kam jana jane wala Android security app hai joki yahn list me diye gaye dusre antivirus ke jitna hi bharosemand hai. Yah ek full- featured App hai jiske zyadatar functions free version me available hai. Ye App device scans, real-time protection, external SD card scans aur bhi bahut saare features ke sath aata hai.
- Ye aapke external device ko scan karne ke sath hi ye bhi batata hai ke ye kitna secure hai.
- ‘cell phone tracker,’ ki madad se zaroorat parne pe ye aapke phone ke location ko track kar sakta hai. Iske sath hi agar apka phone kho gya hai to App us admi ko notify kar sakta hai take wo aapse contact kare.
- Iske premium feature ke sath aap aur bhi bahut saare features jaise camera protection, additional browser security wagairah ko enjoy kar sakte hai.
AVG Antivirus 2018
Price: Free / $2.99 per month / $11.99 per year
Anti-virus ki duniya me AVG Antivirus bhi ek popular antivirus mer se ek hai. Ye App Avast jaisa hi hai, ise hum Avas ka subsidiary kah sakte hai. Aapko lagbhag dono App me ek hi tarah ke experience milenge. Isme aapko kuch differences bhi milenge jaise App me Google map ke zarye anti-theft tracking milegi, aur iske sath hi aapko Yahan pe rooted firewall ki facility nahi milegi.
- Is App me bahut saare aise features diye gaye hai jo modern antivirus me hote hai jaise periodic scans, Wi-Fi security, junk cleaner, ram booster, call blocker, power saver wagairah.
- Iske kuch feature jaise battery, memory, aur phone boosting features sahi se kamm nahi karte hai par in sab ke bawajood ye ek bura option nahi hai.
Bitdefender Antivirus Free
Price: Free (contains ads)
Bitdefender Antivirus un free powerful mobile antivirus tool me se ek hai jo sabhi major Android threats se protection provide karta hai. Yah sabse lightweight antivirus app me se ek hai jo cloud scanning technology ka use karta hai aur super-fast scanning provide karta hai.
- Fast scanning ke sath hi ye devise ko na to slow karta ahi aur na hi battery ko jaldi khatm karta hai.
- Real-time protection ke sath hi ye App ko install karne pe turant scan karta hai.
- Basic scanning feature ke sath hi simple interface aur quick performance ki facility provide karta hai. Ye Basic need ke liye ek behtareen App hai.
Kaspersky Mobile Antivirus
Price: Free / $14.95 per year
Kaspersky Android ke liye ek amazing aur best antivirus me se ek hai. Is App ka free aur pro dono version available hai. Dono version me aapko SMS aur call blocking, scans, virus updates, and anti-theft jaise facility mil jayegi.
- Premium version me aapko real-time protection, app lock, anti-phishing aur anti-theft jaise protection mil jayege.
- In sab ke sath hi is App me koi bhi booster feature nahi diya gya jo dusre App ki tarah theek se kamm nahi karta.
- Is App ka primium feature $14.95 ek saal ke liye hai par aap iske sabhi primium feature ko 30 days ke trial period tak free me use kar sakte hai.
Visit our Youtube Video
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.
Post Views: 8